Kyaaa kaare
kuch kahne ko bhi ,dil karta hai,
kuch kahne se bhi ,dil darta hai,
sambhalkar rakho apne sabaab ko,
khuda bhi ab ,tujpe nazer rakhta hai,
mauka milte he dekhte hai tujko
aisa chand bhala kab kab nikalta hai
ho jaye pyaar tera jiske bhi saath
jamane se bhala phir kaun darta hai
na jata itna bhi apnapan tu sabse
har koi tujhe bus apna samajhta hai

No comments:
Post a Comment